Abbas (AS) bole kaise
- Fatema Ladak (2010)
Wapas na jaunga
Abbas Abbas
Abbas bole kaise mai wada nibhaonga
piyason ko teen roz ke kia moo dikhaunga
Wapas na jaunga, wapas na jaunga
Pewast teer ankh mei seena figaar hai
Panja mere alam ka bhi matam guzaar hai
Baazu juda hain mashq ye kaise uthaunga
Wapas na jaunga
Koshish ke bawajud bhi koshish hai raaega
Pani nahi baha ye gira mujh pe aasma
Ab kaise mai Sakina se nazreh milaunga
Wapas na jaunga
Hukm-e-Hussain ne mujhe paband kardia
Rasta digah ka mere liye band kardia
Ye baat tashna kaamon ko kaise bataunga
Wapas na jaunga
Gham tou yehi hai gham bhi uthaya nahi gaya
Hamsheer gham uthayegi aur mai nahi raha
Sharmindagi ka teer kaleje pe khaunga
Wapas na jaunga
Aaqa se koi keh de karam itna kijiyeh
Laasha mera khayam mai le kar na jayeh
Le jayeh alam mera mai tou na jaunga
Wapas na jaunga
Mujh baawafa se nehr ne kyu bewafai ki
Kimat hamare bhai ne di thi tarai ki
Mujh ko khabar na thi ke mai khoo mai nahaunga
Wapas na jaunga
Ye kehte kehte shair ko hichki jo aagayi
Gham se kamar Hussain ki Rehan kham hui
Bole Hussain tere bina jee na paunga
Wapas na Jaunga