Khanjar qareeb
- Nadeem Sarwar (2006)
Khanjar qareeb
(Jab mera Hussain, Fatema ka cheyn) x2
Pushte raahwaar se khaak pe ghira
(Ya hussain) x3
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Ya hussain) x2
(Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
- Jaan kar qareeb tar mera parwardigaar dekh
Aashiq ka apne reyg-e-tapaa(n) par qaraar dekh
Mera yakeen dekh mera etebaar dekh
Mei kitna mutmain hu(n) idhar eik baar dekh
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
- Pyaasa hu(n) teen roz ka zakhmo(n) se choor hu(n)
Ya rab gawaah rahiyo ke mei bekasur hu(n)
Che maah ho gaye mei watan se bhi door hu(n)
Ab teri baargaah mei tere huzoor hu(n)
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
- Ek qalb-e-natawaan be bahattar ka daagh hai
Athara saal ke Ali Akbar ka daagh hai
Bazu burida sher ka Asghar ka daag hai
Lagna abhi luti huwi chadar ka daagh hai
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
- Eh keh ke jo khamosh huwe sibt-e-payambar
Dekh ke sarhaane khari hai madar-e-muztar
Shehzadi ke sar par hai pari khaak ki chadar
Kehti wo sar god mei Shabbir ka lekar
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
- Mazloom ki imdaad ko aata nahi koi
Paani dam-e-marg pilata nahi koi
Zakhmo(n) pe lagi khaak churaata nahi koi
Haay haay mere bache ko bachata nahi koi
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
- Haider se kaha Zehra ne khof ata hai saheb
Maa(n) hu(n) mera dil dard se tharrata hai saheb
Ye dekhiye duniya se pisar jaata hai saheb
Khanjar ko liye shimr chala aata hai saheb
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
- Farmaane lage maa(n) se basad ranj ye maula
Kuch deyr mei ab kooch hai duniya se hamara
Ay amma chali jaaye maqtal se khudara
Kis tarah se dekhogi tarapta huwa laasha
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
- Ek baar jo khaymo(n) ki taraf yaas dekha
Dekha ke dar-e-khaymaa(n) pe roti hai Sakina
Ek hook uthi qalb mei rone lage maula
Zainab se ishaaro(n) se kaha ay meri behna
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
- (Aawaz-e-ghaib aayi palat aa hussain aa) x2
Ab imtehaan tera mukammal yaha huwa
Khun-e-pisar se tu hai wuzu ab to kar chuka
Ye sun ke sheh ne sajde mei sar rakh ke ye kaha
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
- Jab ponchi behen bhaayi ke laashe pe khule sar
Dekha ke la'ee(n) pher chuka halq pe khanjar
Aur shimr liye jata hai sar gesoo pakar kar
Ay "Sarwar-o-Rehan" karo yaad wo manzar
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
As'salaamu alayka ya tharallahi wabna thaari
Wal witral mawtoor, ash'hadu annaka qad aqamtas-salaat
Wa ataytaz-zakaat, wa amarta bil ma'aroofi wa nahayta annil munkar
Wa ata'tallahu wa rasoolahu, hatta ataaqal yakeen
As'salaamu alayka ayyuhash-shaheed
As'salaamu alayka ayyuhal-mazloom, wabnul-mazloom