Aseer hoke chali hu
- Fatema Ladak (2014)
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
1. Yaha se jaati hu zindaan-e-shaam ay baba
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
2. Suno Sakina se gham ka payaam ay baba, Hamare jal gaye sare
khayam aye baba, Kahan kahan ho na jane Qayam ay baba, Hai waj
hai zeesth tumhara hi naam ay baba
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
3. Suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga, Yazeed ka sar-e-
darbaar saamna hoga, Mera to bhai bhi zanjeer se bhanda hoga,
Phoopi jo ayengi darbaar me to kya hoga
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
4. Abhi se shaam ko jaane ki ibtedaa dekho, rasan se gut ta hai
baba, mera gala dekho, Phuphi ke sar se bhi to chin li ridaa dekho,
ye ibtedah hai to kya hongi intehaa dekho
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
5. Jo pucho sabr to mei fatema ki poti hu, mei apne kunbe ki
mazloomiyat ko roti hu, tumhe na paa ke bohot dil fighaar hoti hu,
chacha ke saare buridaa pe jaan khoti hu
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
6. Na pucho halat-e-bimaar karbala baba, hamare hai ye bhi salaar-
e-kafela baba, kushi se sehgaye har zulm har jafaa baba, hai aaj
shaam ki manzil ka marhala baba
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
7. Ye ibteda hai musibat ki intheha bhi nahi, Guzargayi hai qiyamat
magar gila bhi nahi, Phoopi ke sarpe kafan ke liye rida bhi nahi,
Aur aaj hosh me beemar-e-karbala bhi nahi
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
8. Hamara karbobala me khayam ho na saka, Tumhara dafn ka bhi
intezaam ho na saka, Pare ho khak pe kuch ehtemaam ho na saka,
Ye zoaf hai ke ada bhi salam ho na saka
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2
9. Hai sarpe khak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai, Hai kamsani bhi
musibat bhi aur jafa bhi hai, Phoopi ke saaath rasan me mera gala
bhi hai, In afato se guzarne ka hausla bhi hai
(Aseer hoke chali hu salam ay baba) x2