Hai Imame asr girya

- Fatema Ladak (2014)


HAIN IMAM E ASAR GIRYAH – RO RAHI HAY ZULFQAR
PARDA-E-GHABYAT HAY LARZAN – RO RHAI HAY ZULFQAR

1. KARBALA KAY SAAN HAY KO KITNA ARSA HO GAYA
KITNI SADYAHO SAY MERA MOLA NA PUL BAR SO SAKA
AIK MAA KAY BAIN SUN KAR DIL BOHAT HAY BAQARAR

2. KEH RAHI HAY TAIGH WAQIT –E- ASAR HAY PATHA JIGHAR
DORNAY WALAY HAIN GHORAY LASAHA-E-SHABBIR PER
KHAMA-E-ZAINAB KI JANIB DAKTI HAY BAAR BAAR

3. SAMANAY MOLA KAY BEHTI HAY ALI AKBAR KI MAA
PAAS JOOLAY KAY ZAMEEN PER HAY ALI ASGHAR KI MAA
KAR-B-E-MOLA BAR RAHA HAY SUN KAY MAAON KI PUKAR

4. MADARAY-E-QASIM KI ANKHOON KO HAY BETE KE TALASH
AIK GHATHARI MAY UTHA KAR LAAYE HAIN QASIM KI LAASH
DAKHTI HAY HAZARAT-E-ABBAS BI HAY ASHK BAAR

5. GHARDAN-E-ASGHAR MAY HAI PAWASEET, TEER-E-KHURMALA
BAAP NAY GHARDAN KO CHOOMA SO-E-KHAIMA CHAL PARA
HAR QADAM PER BAR RAHA HAY LASHA-E-ASGHAR KA BAAR

6. KHODATAY HAIN QABAR MOLA – ASGHAR –E- BASHEER KI
DAIK KAR SOEAY NAJAF KAHTI HAY YAH TEEAGHI-E-ALI
KYA ISI DIN KAY LEYAH PAYDA HOI THEE ZULFQAAR

7. AA GAHI SHAM-E-GHARBAYAH AIK NAZAY KI ANI
KIS TARAH AAGE BARI OOR CHADAR-E-ZAINAB CHINI
KAAT DATI US KAY HAATHO KO HOTI ZULFQAR

8. ZAKHAM BARTA HI NAHI HAY ZULM KA DARBAR KA
AAJ BE BAQI HAY BADLA SAAM KAY BAZAR KA 
PARDA-E-GHABAYAT SAY BAAHAR AAYE GEE BUS EK BAAR

9. PARDA-E-GHABAYAT MAY ABBI WARIS-E-IMRAN HAY
TAIGH HAY IK HAAT MAY IK HAAT MAY QURAN HAY
AIK HAY LUB PER DUA BUS IZAN DAI PARWARDGHAR

10. MAJALIS-E-SHABEER JARI HAY JULOOSON KA SAFAR
HAIN SABI MAAHWAY AZA HOOR-O-MALAK JIN –O-BASHAR
MATAMI HAIN SUB MAGHAR IK OOR HAY MATAM GUZAR

11. AAJ BI HAY SURKH SHEEYON KAY LAHOO SAY YAH ZAMEEN
AAJ BE AH-LE AZA KO QATAL KARTAY HAIN LEYAH
DAIKH KAR YAH HAY MACHALTI TAIGH-E-HAIDAR BAAR BAAR

12. YAH YAZADI HAIN KABI RONAY NAHI DETAY HAIN YAH
QABAR MAY CHAIN SAY SONAY NAHI DATAY HAIN YAH
MUNHAIDAM IN ZALIMONE KAR DEYAH KITNAY MAZAAR

13. HAIN KARORO AAJ BI DUNYAH MAY SHIAYAH-E-ALI 
HAY AZADARI BHI JARI PHIR BI KOI HAY KAMI
TEEN SO TARYAH(313) KA HO GA KAB QAMAR PURA SHUMAAR