Marhaba Shere Ali

- Mir Hasan Mir (2004)


MARHABA SHERE ALI 4

RAN MEI JIS DAM ABU TALIB KA SIPAHI AAYA 2
SHOR UTTHA ASADE SHERE ILAAHI AAYA
AHLE BAATIL KE LIYE BANKE TABAHI AAYA
SUNKE YEH FAUJE SITAMGAR ME HAI HULCHUL SI MACHI

DADA WO DEEN THI JAHA AAYE DUHAAI LEKAR 2
BAAP JO SOYE TOH FIR UTTHE KHUDAAI LEKAR
AUR YEH PALTEGA CHULLU ME TARAAYI LEKAR
AAJ AAYEGI HAR EK SIMT SE AAWAAZ YAHI

KHUSHK SEHRAAO K DAAMAN ME LAHOO AT JAATE 2
LAASH KE DHER SE MAIDANE WIGA PAT JAATE
AATE JIBREEL TO JIBREEL K PAR KAT JAATE

SABR KO ZABT KE EHSAAS NE SONE NA DIYA 2
NEHAR BECHAIN RAHI PYAAS NE SONE NA DIYA
HAAKIME SHAAM KO ABBAS NE SONE NA DIYA
PAHRADAARO KI LABE NEHAR KAMAR TOOT GAYI

SIDIYA JISNE BHI ROZE KI UTAR KAR DEKHA 2
USNE NAAYAAB FAZILAT KAA SAMANDAR DEKHA
DEKHNE WALO KI NAZRO NE YEH MANZAR DEKHA
AAJ BHI LIPTI HUI HAI TERE KADMO SE NADI