Sakina ka imtehaan
- Farhan (ALI WARIS) (2026)
Ammu jaan, Ai Ammu jaan
Bazaar mere rukhsar, aur us pe Shimr ka bhaari haath,
Aye Amu, ye hai mera haal.
Tum kya gaye dekho mujhe - 2
Jisne bhi chaha maara tamacha.
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaa
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Ruqaiyye ye to dar imtehaan
Aapko jab bhi maine bulaya,
Shimr ne mujhko aur rulaya,
Baalon se mujhko khench ke laaya,
Zaalim ne mujh par haath uthaya.
Hansta raha, kehta raha,
Ghazi nahin ab aayega tera.
Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaa - 2
Ek hi jaisa gham hai hamara,
Honth phate, khoon beh gaya saara,
Khuli ne jab neze se maara,
Gir gayi munh ke bal be-sahara.
Dekho zara aaj mera,
Aapki tarah zakhmi hai chehra.
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaa - 2
Aapne Sar neze se giraya,
Badh ke Sakina ne jab uthaya,
Mere qareeb ek zaalim aaya,
Pusht pe meri durra lagaya.
Sar aapka cheen liya,
Jaate hue maara taziyana.
Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaa
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Ruqaiyye ye to dar imtehaan
Amma ke shanon mein jo hai rassi,
Us se bandhi hai gardan meri,
Haaye main qad mein hu sab se chhoti,
paon zameen par rakh nahin sakti.
Mera gala ghutne laga,
Panjon pe chalti hai teri Sakina.
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaan
Aaj nahin hai sar par chadar,
Maare hain sab ne humko patthar,
Ghar mein Phuphi kehti thi ye aksar,
Jaati nahin Saydaniya bahar.
Phir kyun humein bazaar mein,
Zaalim phirate hain beparda.
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaan - 2
Raah mein ek mod aisa bhi aaya,
Naaqe se meri rassi ko baandha,
Zaalim ne sab ko paas bulaya,
Kehne laga ab dekho tamasha.
Sab dekh ke hansne lage,
Naaqe ke saath mujhe daudaya.
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaa - 2
Baba ne jo tohfe mein diye the,
Woh goshware cheen gaye mere,
Pohnchi main jab Baba se kehne,
Dekha mujhe zaalim ne aa ke.
Kya main kahun zaalim ne kyun,
Baap ki laash pe beti ko maara.
Amu Jaan, Ai Amu Jaan, Dekho Sakina Ka imtehaa
Farhan aur zeeshan woh bachchi,
Amu se ye ro ro kar boli,
Kab se hoon pyaasi, zakhmi qaidi,
main isi haal mein mar jaaungi.
Bazaar hai, darbaar hai,
Phir main hoon aur zindaan ka andhera.