Aye meri Fatima (s.a)

- Shahid Baltistani (2026)



Aey Meri Fatima s.a

Rukh Se Hataya, Kaanpte Haathon Se Jab Kafan
Ro Ke Fatima Se Yeh Bole Abal Hasan

Mujh Se Baatein Karo
Meri Zainab Ki Maa, 
Aey Meri Fatima

Jaanti Ho Tum Hi Meri Tanhaiyan
Aey Meri Fatima

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Zakhm Khaaye Bohat Tum Ne Mere Liye
Tum Ko Maara Gaya Mere Hote Hue
Mujh Ko Tanha Kabhi Tum Ne Chhoda Nahi
Aansu Ponchhe Mere Tum Ne Jis Haath Se
Taaziyane Ka Hai Aaj Us Par Nishaan
Aey Meri Fatima 

Dekhte Dekhte Tum Zaeefah Hui
Zakhm Khaaye Magar Kuch Na Boli Kabhi
Ab Main Samjha Ke Tum Chalte Chalte Yeh Kyun
Mujh Se Kehti Thi, Main Thak Gayi Ya Ali
Main Ne Tooti Hui Dekh Li Pasliyan
Aey Meri Fatima

Chup Raha Jab Talak Tum Ne Poochha Nahi
Haan Salaam, Ab Mujhe Koi Karta Nahi
Ae Meri Fatima, Is Madine Mein Ab
Jitna Main Hoon, Koi Itna Tanha Nahi
Meri Hamdard Thi, Ek Tum Hi Yahan
Aey Meri Fatima 

Maa Ke Gham Ka Use Kitna Ehsaas Tha
Mujh Se Mera Hasan Chhup Ke Rota Raha
Kaise Woh Bolta Raah Mein Zor Se
Maa Ke Rukhsaar Par Jab Tamaacha Laga
Khaak Par Gir Gayin Toot Kar Baaliyan
Aey Meri Fatima 

Tum Se Aabaad Tha Mera Chhota Sa Ghar
Apne Bachon Ko Main Le Ke Jaaun Kidhar
Tum Se Behtar Koi Kaise Samjhe Bhala
Tum Ne Khoya Jise, Bain Deewar-O-Dar
Mujh Ko Woh Keh Saka Baap, Na Tum Ko Maa
Aey Meri Fatima 

Sun Ke Roti Rahi Zaalimoon Ki Hansi
Tum Ko Jhooti Kaha Aur Sanad Phaar Di
Ghar Talak Aayi Tum Aise Darbaar Se
Baap Jaise Jawaan Laash Laaye Koi
Khat Banaati Rahi Khaak Par Aidiyan
Aey Meri Fatima 

Band Kar Ke Kafan Di Ali Ne Sadaa
Mar Gaya Hai Ali Ho Ke Tum Se Juda
Tum Ko Is Qabr Mein Jab Utaarunga Main
Haath Phailayenge Khud Rasool-E-Khuda
Dafan Tum Ko Karoon, Mere Bas Mein Kahan
Aey Meri Fatima 

Bola Zeeshan Yeh Ro Ke Darvaish Se
Fatima Ko Ali Dafan Jab Kar Chuke
Uthna Chaha Magar Uth Na Paaye Ali
Qabr Par Gir Gaye Ladkharaate Hue
Haath Seene Pe Tha Aur Labon Par Zubaan
Aey Meri Fatima 

Mujh Se Baatein Karo
Meri Zainab Ki Maa, 
Aey Meri Fatima