Amma tumhara asghar
- Mir Hasan Mir (2026)
Haye Asghar, haye asghar
Apne haatho'n se baba ne
turbat mein sulaya tha mujhko
aur shaam ke zalim lashkar ke
naizo ne sataya tha mujhko
turbat mein mujhe rehne na diya
sar mera bhi naize pe utha..
Amma.. Amma..
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(4)
Do baar zibha mujhko..(2)
rann mein kiya gaya hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
1. Noke sina pe amma dohra hai dard mera..(2)
ek naize par barabar..(2)
mein aapki rida hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
2. Chaale pade hai kaise, zakhmi hue hai kaise..(2)
kuch to batao amma..(2)
haatho'n ko kya hua hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
3. Apna khayal rakhna meri na fikr karna..(2)
dadi ne mujhko apni..(2)
godi mein le liya hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
4. Cheh(6) maah ke Ali ka din bhi hai cheh(6) moharram..(2)
maa dekhti hai ab bhi..(2)
jhula kaha'n saja hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
5. Nikla tha jab watan se tha god mein tumhari..(2)
hum raah ab tumhare..(2)
sar kat ke jaa raha hai
Amma tumhara asghar...
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
6. Ghazi ka hu bhatija aankhein mai kholu kaise..(2)
maine suna hai amma..(2)
behno ka sar khula hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
7. Naize se mai sakina ko dekhta raha hu..(2)
chehra meri behen ka..(2)
zakhmo se bhar gaya hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
8. Zinda bhi dhoop mein thi turbat bhi dhoop mein hai..(2)
bano ne aye takallum..(2)
wada nibha diya hai
Amma tumhara asghar naize pe aagaya hai..(2)
Haye Asghar, haye asghar