Khuda kare
- Mir Hasan Mir (2026)
ya hussain ya hussain - 4
sada rahega hussain ka gham
ye shor-e-girya, ye shor-e-matam
khuda kare - 2
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare - 2
are taaza rahe dilo me muharram, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare - 2
sehn-e-haram me ahle aza ki rasai ho
ghaibat nasheen ke hath se parcham kushai ho
lehraye baame kaaba pe parcham, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
lillah aansuon se na khali kabhi rahein
ashke gham e hussain se aankhein bhari rahein
roomaal sayyada ka rahe nam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
taboot zuljanah alam jhoola taaziya
in par jo eteraz kare khud hai bewafa
apna rahe aqeeda musallam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
matam daba na paye dhamako ki bhi sada
rukne na paye majlis-o-matam ka silsila
ban jaye hum shaheedo ke mehram, khuda kare
sada rahega hussain ka gham
ye shor-e-girya, ye shor-e-matam
are har matami ke dil me ye armaan hai basa
paidal najaf se jab ho safar arbaeen ka
Qaem (atfs) ke sath sath chalein hum, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
are vo hi rahe jo apne buzurgon ka tha chalan
ek anjuman hate to, badhe ek anjuman
ho har juloos aise munazzam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
rehta hai saal bhar kisi bibi ko intezaar
qasim ki mehndi jayein jo lekar ye pursadaar
matam se goonje phir se mukhayyam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
jannat sajaein pyason ke sadqe zameen par
are khwahish hai sabki muaqqibe ummul baneen par
khuddam-e-zayreen banein hum, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
are maqtal me jisne khaak pe ragdi thi aediyaan
sairaab uski pyaas ke sadqe ho ye jahan
bat'ta rahe sabeelon se zamzam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
are dekha hai jabse maah-e-aza dil hai beqarar
sughra madine walo se kehti hai bar bar
ho khariyat se shah-e-moazzam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
haye teele pe hai khadi hui mazloom ki behen
khanjar tale hussain ke lab par hai ye sukhan
are zainab na dekhe naz'a (death) ka aalam, khuda kare
kayam rahey ye majlis o matam, khuda kare
are is yaas se hashr tak meri farde amal ho paak
har dam yahi dua hai takallum ye meri khaas
khaak-e-dar-e-hussain mein ho zam, khuda kare
sada rahega hussain ka gham
ye shor-e-girya, ye shor-e-matam